Hum Kabhi Mile Nahi is the poem that, I wrote about Online classes during the covid-19.
Hum door the saath bhi the,
Ek Saal toh ho gaya
Magar kabhi mile nahi the.
Humko milna tha, Is chhote se dibbe me.
Naam toh nahi pata, Muh tak nahi dikha.
Baat bhi yahi hui, Pyaar bhi yahi hua.
17(sathrah) log the hum, alag bhaasha thi,
alag sapne the, par manzil toh ek hi tha.
Haa hum haste the, mazak udate the,
nache bhi the, Birthday bhi celebrate kiye the,
Lekin kabhi gale milne ka mauka nahi mila.
Roz subha Chaar(4) bajte the baat karte karte.
Lekin kabhi neend naa aayi.
Sab saath milke, din-raat bhar cinema dekhte the,
Lekin popcorn tak milke na khaaye
Humne toh bahut saare assignments kiye the,
lekin Pencil tak share nahi kar paye.
Hum door the
saath bhi the,
Ek Saal toh ho gaya
Magar kabhi mile nahi the.
Humne toh selfie bhi liye the,
Lekin har ek ka alag phone tha.
Kabhi dil bhaari pada toh,
group mein ek meme bhejhta tha,
reply mein sola(16) stickers aate the,
har ek ko favourite kiya hai.
Aasani se nahi mili ye jagaah,
bahut mushkhil tha raasta.
Bahut kuch khoya maine,
Lekin kabhi hum haar nahi maane.
Mujhe toh aana hi tha, Tag ke liye toh nahi
Lekin bahut kuch seekhna tha,
logo se milna tha, baat karna seekhna tha,
pyaar karna seekhna tha.
Galti toh hamari nahi thi,
magar sazaa toh hume mili hai.
Ab toh yahi hai, ek dibbe mein band kiye humko.
Baat tak karni nahi aati, kaise banate dost ko.
dil toh bahut bhaari hai,
Dimag toh har roz jalta hai
baat toh pehle hi band ho chuki thi,
kya pata sab saath mein ho toh,
gale mila leta aur zor se ro leta.
Ek dibbe mein hi toh itne dost mile,
saath mein ho toh kya pata,
zindagi bhar ka pyaar mila hota.
Aur bolna hai mujhe, baat karni hai.
Par Kya farak padega,
phir bhi ek dibbe se hi baat kar raha hoon.
Haa hum door the
Saath bhi the,
Magar Hum Kabhi mile nahi the.
- Smaran